TRACKSound
Bayaan - Faryaad (Official Video)
About this track
Faryaad Kis ne lagaai aag hai? Rab ka jahan barbaad hai Kis ne lagaai aag hai? Barpa kyun har su fasaad hai? Rab ka jahan barbaad hai! Shammay jalaae khoon se Ujlay kal ki aas kay Phir kyun cha’ai raat hai? Phir se duniya mein aanay ka agar Tum ko woh ikhtiyaar day Ab ke zadd mein day day sholon' ki ghar Bolo kya tum aao gay? Nanhay dilon ki siskion ki lorion mein sona paray Subh bhi kaali raakh kay pardon kay peechay sehmi daray Aur jo Cheekho Tou sadaaein aasmaan' pay jaa kay bhi murein Hoti nahi charagari Dum ghont'ti hai be-basi Raaegaan' faryaad hai Haathon say aankhein dhaap kay Kehta hun apnay aap say Jaag aaegi ye khawaab hai Kis ne lagaai aag hai? Barpa kyu har su fasaad hai? Rab ka jahan barbaad hai! Shammay jalaae khoon say Ujlay kal ki aas kay Phir kyun cha’ai raat hai? Credits: Director: Jaffar Raza Jafri Edit and Post: Hamza Bin Tahir Music Producer: Farhan Zameer (Grammophone studio) Line Producer: Munir Lights: Popa Photography: Aizaz Hussain Artwork: Mustafa Mirza Special Thanks: Hamza Bin Tahir for helping us put this together - we are grateful for his talent and his friendship Bayaan is: Asfar, Haider, Mansoor, Muqueet and Shahrukh #Bayaan #Faryaad
From the album
Bayaan27 tracks · Track 17Maand Milay to tum kabhi nahin Meri hasrat kyun bharkai bewajha K tum bina jiye agar Hua kaise naa ...
→










