TRACKSound
YEH WATAN TUMHARA HAI
About this track
Dedicated to my 1st love....My motherland I know i cant sing and there can not be any comparison with original, but i tried this with heart.. whatever it is, it expresses my love and emotions :) hope this effort ll be acceptable Yeh vatan tumhara hay tum ho Pasban iss kay Yeh chaman tumhara hay tum ho naghma khwan iss kay Yeh vatan tumhara hay tum ho Pasban iss kay iss chaman kay phoolon par rung o aab tum say hay is zameen ka har zarra aftab tum say hay yeh faza tumhari hay behr-o-bur tumhaaray hain kehkeshan kay yeh jagay rehguzar tumhaaray hain Yeh vatan tumhara hay tum ho Pasban iss kay is zameen ki maTTi main khooN hay shaheedon ka arz e pak markaz hay qaum ki umeedon ka nazm-o-zabt ko apNa meer-e-karwan jaNo waqt kay undheron main apNa aap pehchaNo Yeh vatan tumhara hay tum ho Pasban iss kay yeh zameen muqadas hay maan kay pyar ki surat is chaman main tum sab ho barg-o-bar ki surat deKhNa gun.vana mat daulat-e-yaqeen logon yeh watan amanat hay aur tum ameen logon Yeh vatan tumhara hay tum ho Pasban iss kay meer e Karvan hum thay rooh e Karvan tum ho hum to sirf unwan thay asl dastan tum ho Nafraton kay darwazay khud pay bund hi raKhna is watan kay parcham Ko sar baland hi raKhna Yeh vatan tumhara hay tum ho Pasban iss kay Yeh chaman tumhara hay tum ho naghma khwan is kay Yeh vatan tumhara hay tum ho Pasban iss kay
From the album
tauseefqau25 tracks · Track 20Originally sung by Mehdi Hassan.. Title: Apni Jaan Nazar Genre: Patriotic - Pakistani National Son...
→










