TRACKSound
Old Merry School Ep 2: Woh Yash Nahi Tha…
About this track
Iss episode mein kahani aur zyada dark ho jaati hai… Udit ke peeche jo tha, woh sirf darr nahi tha… kuch aur bhi tha jo unke saath school se bahar tak aa gaya. Aditya jab hosh mein aata hai, sab normal lagta hai… lekin Yash ka behavior ab pehle jaisa nahi hai. Uski aankhon mein kuch alag hai… kuch aisa jo samajh nahi aa raha. Aur jab school ke bahar ek security guard unse “swimming pool” ke baare mein poochta hai… toh sab kuch badal jaata hai. Kyunki yeh baat un teen ke alawa kisi ko nahi pata thi… ya shayad… kisi aur ko bhi pata tha. Kya us raat woh sach mein akela the… ya koi aur bhi unke saath tha? 🎧 Headphones lagao, lights band karo… aur khud decide karo.Next episode kal aa raha hai… 😈🎧Agar aapke pass koi horror experience hai ya koi feedback hai toh please mera insta:- @1an4nt par share karein ya fir mail me at anantbhardwajx1@gmail.com.
From the album
Gumnam Saya – Horror Stories in Hindi7 tracks · Track 2Aap sun rahe hain Gumnam Saya… jahan kahaniyaan sirf suni nahi jaati, mehsoos karwayi jaati hain. Ma...
→
















